Aapda se khud kaise nipten cover art

Aapda se khud kaise nipten

Written by: Peeyush Singh
  • Summary

  • Aapda ek aisa shabd hai jisse ham sab darte hain kyonki ye apne sath hamesha vinash lekar aata hai. Aapda chhoti ho ya badi apne raste me aane wali har cheej ko tabah karti chalti hai. Kuch aapdayen kudarati hain jinme hamara kuch jor nahi chalta to kuch insani swarth ke karan aati hain. Aapda koi bhi ho use tala nahi ja sakta lekin agar hame jankari ho to bachav ke tareeke pata hon tab ham khud ko aur apne aas pas ke logon ko surakshit rakh sakte hain. Jyadatar aapdayen achanak se hi aati hain isliye prabhavit logon tak madad pahuchne me bahut samay lag jaata hai aur yahi samay sabse bada karan banta hai aapda se jane wali janon ki sankhya badhane me. Is show ke jariye hamara prayas hai ki ham aap tak alag alag aapdaon ke bare me vistar se jankari pahuchayen aur aapko har sambhav bachav ke tareeke batayen taki aap khud bhi surakshit rahe aur doosron tak madad ka hath pahuncha saken.

    ©2021 Peeyush Singh (P)2021 Peeyush Singh
    Show More Show Less
Episodes
  • Episode 1: Bhookamp(bhag 1)
    Sep 10 2021

    Bhookamp ek aisi prakritik aapda hai jiski koi bhavishyawani nahi ki ja sakti ki ye kab aayega aur kahan aayega halanki vaigyanik bahut research kar rahe hain lekin abhi tak kuch thos parinam nahi aaye hain. Is episode me ham bhookamp ke bare me samjhenge, bhookamp aane ke karan se lekar bhookamp ki sthiti me kaise apna bachav karna hai, ye samjhenge.

    Show More Show Less
    15 mins
  • Episode 2: Bhookamp(bhag 2)
    Oct 14 2021
    Jyadatar samay jab bhi Bhookamp aata hai log kisi na kisi building me hote hain, ya to office me ya gharon me. Aise me yadi aap kahin fans jayen to kya kya sawdhaniyan utha sakte hain aur kaise khud ko aur doosron ko bacha sakte hain, is episode me ham isi tarah ke bachav ke tareekon ko vistar se janenge.
    Show More Show Less
    15 mins
  • Episode 3: Tsunami (bhag 1)
    Oct 14 2021
    Tsunami ke nam me hi itna khauf bhara hai ki sunkar hi koi bhi dar jaay, ye aapda samudra ke andar janm leti hai aur apni chapet me aane wali har cheej ko baha le jaati hai, fir chahe vo kitni hi majboot kyon na ho. Is episode me ham Tsunami ke bare me vistar se samajhte huye usse bachav ke tareekon par baat karenge
    Show More Show Less
    16 mins

What listeners say about Aapda se khud kaise nipten

Average Customer Ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.