Family Drama Stories by Delhi Press, Season 1 cover art

Family Drama Stories by Delhi Press, Season 1

Written by: Delhi Press
Narrated by: Yogita Singh
  • Summary

  • Audible prastut karta hai Family Drama Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Paarivarik sambandh gehre hote hain lekin kaafi naazuk bhi hote hain. Kayi baar ek hi ghar mein rehte huye bhi parivaar ke sadasya ek doosre ko nahin samajh paate. Lagaav ke saath ek doosre ke prati dwesh, gussa aur kadvahat aane lagti hai jab samaajik mulya aur apni soch mein antar hota hai. Shaadi ke baad aksar rishton mein badlaav aane lagta hai aur mahilaon ko ek naye parivaar mein jagah banaane mein dikkat aati hai. Saas-sasur bahu ko kabhi beti ki tarah apna lete hain aur kabhi unko paraaya samajhte hain. Samvedansheel aur manoranjak drishti se paarivarik rishton ko prastut karti yeh kahaniyan ghar, samaaj aur badalte samay ki jhalak deti hain. Har ghar ki kahani vishesh hai, lekin har kahani mein aapko apne ghar ka koi sadasya, apne parivaar ki paristhityan bhi zaroor milengi!
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Show More Show Less
Episodes
  • गंवार: देवरानी-जेठानी का तानों का रिश्ता
    Mar 4 2022
    Ajeet medical ka chhatra tha aur apne dost ki shaadi mein gaya toh Vandana se mila. Vah Vandana ko apne jeevansaathi ke roop mein dekhna chaahta tha lekin vah ek gaon se thi, isliye Mumbai mein rehnewale uske parivaar ke logon ne manaa kiya. Ajeet ne apne mata-pita ko shaadi ke liye mana liya aur Vandana uski patni ban ke Mumbai aa gayi. Monica uski bhabhi thi aur use bilkul pasand nahin karti thi. Lekin jab achanak Monica ka accident ho gaya toh Vandana ne uski bohot sewa ki. Monica ke vichaaron mein badlaav aaya aur usne Vandana ko gale lagaya.
    Show More Show Less
    15 mins
  • दिल के पुल: क्यों समीक्षा की शादी के खिलाफ था उसका परिवार?
    Mar 4 2022
    Samaaj ki maanyata hai ki ladkiyon ko career se zyada shaadi aur grihasti par dhyan dena chahiye. Samiksha 33 saal ki ho chuki thi aur use aisa vyakti nahin mila tha jo uski professional zindagi ko bhi samajh sake. Uski mulaqat Deepak se huyi aur vah dono kareeb aa gaye. Deepak ka talaaq ho gaya tha aur vah Isaayi dharm ka tha. Samiksha Hindu parivaar kit hi aur uske bhai ne manaa kar diya. Uski bua ne samjhaya ki dharm alag hone ki wajah se shaadi rokna theek nahin hai.
    Show More Show Less
    18 mins
  • मैं सिर्फ बार्बी डौल नहीं हूं
    Mar 4 2022
    Maneesh aur Pari ki shaadi ho gayi thi, aur sabhi ka maanna tha ki Pari bohot sundar hai. Ek din Pari ne apne gaal par ek daana dekha aur vah ghabraane lagi. Usne make-up se daane ko dhak liya lekin kuchh din baad uske chehre par daag dikhne lage. Maneesh use doctor ke paas le gaya toh pata chala ki use PCOS hai. Maneesh ne Pari ko dilaasa diya ki vah jald theek ho jayegi aur vah phir bhi sundar hai.
    Show More Show Less
    21 mins

What listeners say about Family Drama Stories by Delhi Press, Season 1

Average Customer Ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.