Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 2 cover art

Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 2

Written by: Delhi Press
Narrated by: Pallavi Bharti
  • Summary

  • Audible prastut karta hai Romance and Relationship Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Prem ke kayi rang aapko milenge inn kahaniyon mein - junoon, vaasna, sneh, lagaav, jalan aur chaahat. Jawani ke josh mein dhadakta naya pyar premiyon ko kis hadd tak le jaa sakta hai? Kayi saal se saath rehte huye ek doosre ke liye aakarshan mehsoos karna mumkin hai? Kisi teesre insaan ke aane se pyar ki dor kya kamzor padne lagti hai? Sachche pyar aur ek pal ki vaasna mein antar kaise samajh sakte hain? Sadharan logon ki asadharan prem kahaniyon ke saath kabhi aapka dil bhi pehle pyar ke ehsaas se dhadakne lagega, aur kabhi toote huye dil ke baare mein soch kar koi hasrat yaad aayegi. Chaahat, samaajik bandhan aur prem ki vibhinn paribhashaon ki iss duniya mein aapko kabhi jaani-pehchaani yaadein dikhengi aur kabhi kisi bhooli prem kahani ki kasak mil jayegi.
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Show More Show Less
Episodes
  • हमेशा की तरह
    May 12 2022
    Gulshan ek karkhane ka prabandh nirdeshak tha. Uska jeevan hamesha tanaav se bhara rehta tha. Subah vah jaldi-se nashta karke ghar se nikal gaya, uski patni Suman dekhti reh gayi. Dopahar ko Gulshan ne Suman ko phone kiya, use yaad aa gaya tha ki uski behen Mikki ka janmdin hai. Gulshan yah bhool gaya tha ki uski behen aur patni, dono ka janmdin ek hi din hota hai. Hamesha ki tarah uske bhool jaane par Suman hans padi.
    Show More Show Less
    17 mins
  • थोड़ी सी बेवफाई
    May 12 2022
    Atul ke whatsapp par anjana message aaya toh vah hairaan ho gaya. Ek Kalpana naam ki yuvti se uski baatcheet shuru ho gayi. Uski patni Sadhna ko shak hone laga lekin Atul Kalpana ke baare mein aur jaanna chaahta tha. Kalpana ne milne ko kaha toh Atul pareshaan ho gaya, vah Sadhna ke saath bewafaai nahin karna chaahta tha. Vah akele morning walk par nikal gaya aur sochne laga ki kya kare. Sadhna uske kareeb aayi aur yah raaz bataya ki aakhir vah hi Kalpana hai.
    Show More Show Less
    11 mins
  • वापसी-तृप्ती अमित के पास वापस क्यों लौट आई?
    May 12 2022
    Amit aur Seema pati-patni the. Pati se jhagda hone par Seema mayike chali gayi thi. Ek shaam vah apni Saheli ke saath shaadi mein gayi aur wahan Vikas ne uske saath zabardasti karne ki koshish ki. Seema bach kar nikal aayi lekin use apne pati ki yaad aane lagi. Vah pati ke paas wapas laut gayi aur use apni galti ka ehsaas hua. Vah samajh gayi ki pyar aur vishwas se hi rishta mazboot hota hai.
    Show More Show Less
    12 mins

What listeners say about Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 2

Average Customer Ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.