Showing results by narrator "Neeraj Yadav" in All Categories
-
-
Navvaadi
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 3
- Written by: Sunil Kumar Syncratic
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 26 mins
- Unabridged
-
Overall
-
Performance
-
Story
Jheel ke ghanishth mitra abhi vishram kar rahe the. Tabhi jor se huaane ki awaz aayi. Machchhraja bola ‘Dhyan se suno, ye na to kisi bhediye ki awaz hai na kutte ki. Yeh awaz kisi boodhe siyaar ki hai.’ Ye jungle ke tamaam siyaaron ko aane-wale khatre se aagaah kar raha hai, par siyaar iski sunenge nahin. Kachhuwa ne kaha aisa kyon? Is par machchhraja ne kaha ‘Main tumhe aisi hi boodhe siyaar ka kissa sunata hoon’. Fir kya tha mitrmandali baith gayi kissagoi karne ko. ‘Koi unche swar mein siyaaron ka ahwahan kar raha tha. Saare siyaar awaz ki disha mein daud pade. Ek vridh siyaar umr ke antim padao mein tha, maano ginti ki saasein bachi hon. Siyaaron ke jhoond se usne kaha ‘Raatri ke andheron mein bhatakne-wale saathiyon meri baat suno. Main ek sadharan prani hoon maine jeevan ke kai pehluon ko dekha aur samjha hai aur unhi ke anubhav se keh raha hoon. Brahmand ki har cheez apna astitva kaayam rakhna chahti hai. Jeevan apna astitva kaayam rakhna chahta aur isi nimitt hamari utpatti hui hai. Prakriti se saamanjsya banakar chalo varna jeevan swyam se sangharsh karte beetega. Magar hume iska daas bhi nahin banana balki inka istemaal apne astitva ko kayam rakhne mein karna hai.’ Itne mein vridh siyaar ne pran tyaag diye aur baaki siyaar uspe behas karne lage. Koi kehta yeh unishwarwadi tha, to koi sandehwadi, kisine agyanwaadi kaha, aur ant mein ek siyaar ne kaha ki navwaadi tha kyonki isne sabhi baatein nayi kahi.’ Kahani khatm hote hi mitramandali chali gayi apne liye surakshit sthan doondhne.
-
Navvaadi
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 3
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Series: Bankissa: Stories of Kingfisher
- Length: 26 mins
- Release Date: 30-06-20
- Language: Hindi
Add to cart failed.
Please try again laterAdd to wishlist failed.
Please try again laterPlease try again laterRegular price: ₹0.00
-
-
-
Paksheraaj
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 5
- Written by: Sunil Kumar Syncratic
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 21 mins
- Unabridged
-
Overall
-
Performance
-
Story
Jalkaak pehle se upar dekh raha tha, ab kachhuwa bhi aakash ki ore dekhne laga. Ek vishal pakshi apne vrihtaakar dainon ko lehraate huye jheel ke upar se gujar raha tha. Itne bade pakshi ko dekhkar dono awaak reh gaye. Tab machchhraja ne kaha ye garud hai, pakshiyon ka raja. Itne mein jalkaak bol pada agar ye zameen par utre to kitna vishal dikhega. Machchhraja ne kuchh bhoolta hua bola ‘Tumhari kalpana se ek kahani yaad aa rahi hai’. Kahani shabd kehne bhar ki deri thi, kachhuwa aur jalkaak taktaki lagakar machchhraja ki ore dekhne lage utsukta se bhare huye. ‘Ek din cheel hamesha ki tarah gast lagaakar jungle ki toh le rahi thi ki uski nigaah ek vishal pakshi pe padi. Uska roop-rang, aakar aur haaw-bhaaw sabkuchh shikaari pakshiyon se the. Cheel ne ye khabar titheri ko di aur usne samooche jungle mein ye baat faila diya ki pakshiraaj gadur aaye hain aur hum unke pratyaksh shasan mein rahenge. Saare pakshi us jagah ki ore chal pade jahan pakshiraaj aaye the. Sameep pahuchkar pakshiyon ne uska swagat kiya aur aav-bhagat mein lag gaye. Har koi use prasann karne mein lag gaya. Tab us vishalkaay pakshi ne khane mein mrit jeev ki asthiyon ki maang ki. Logo ke poochhne per usne bataya ki wo shikar nahin karta aur ek boodha geedh lamageer hoon. Yah sunte hi saare pakshi wahan se chale gaye aur unka darr bhi samapt ho gaya’ kahani ke ant mein machchhraja ne kaha ki ajeeb vidambana hai pashuwon ki hatya karne-wala sher pashuraaj aur pakshiyon ka shikaar karne-wale gadur ko log pakshiraaj maante hain.
-
Paksheraaj
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 5
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Series: Bankissa: Stories of Kingfisher
- Length: 21 mins
- Release Date: 30-06-20
- Language: Hindi
Add to cart failed.
Please try again laterAdd to wishlist failed.
Please try again laterPlease try again laterRegular price: ₹0.00
-
-
-
Pashuta Acchi Hai
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 6
- Written by: Sunil Kumar Syncratic
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 33 mins
- Unabridged
-
Overall
-
Performance
-
Story
Machhliyon par aaye sankat aur paani ke ghate star ka laabh sabhi apne-apne tareeke se le rahe the. Paani ke peechhe hat jaane se jaleeye paudhe bhi ab shakahariyon ke pohonch ke bheetar ho gayi thi. Tabhi machchhraja ki nazar ek sooar per padi aur usne bola ‘Wo dekho is mauke ka laabh uthane-wale hum akele nahin hain, ye bansooar bhi aa pahucha hai.’ Jalkaak ne bola ‘Yah to shehari sooar jaisa lag raha, dono mein koi fark hi nahin hai.’ Machchhraja bolta hai ‘Fark hai par bahut baareek tabhi to isse shehar bheja gaya tha.’ Maamla dilchasp hota dekh mitramandali baith gayi kissagoi karne ko. ‘Bus isi pal ki pratiksha thi shayad is bansooar ko. Usne ek chhoti si angdaai li aur kachron ko raundta hua naale ke upar chadh aaya. Jhaad ki darar se usne jhakne ki koshish ki to thuga sa reh gaya shehar ki pehli jhalak ko dekhkar. Saamne adbhut sansar tha, jitni tilasmi utna hi sach. Hriday mein manushyon ke liye shradha umad padi aur unke saamne natmastak ho gaya. Vah aage badha to use ek kutte ka saath mila jo use shehar dikhane ko taiyaar ho gaya. Bansooar ne kaha “Mujhe maanavta ka pata lagane yahan bheja gaya hai”, aur fir dono nikal pade shehar bhraman par. Aage ghere mein baithe logon ko dekhkar kutte ne kaha manushya hamesha bhoot ki yaad ya bhavishya ki chinta mein rehte hain, fir kaamuk manushyon ka joda dikha park mein. Fir ek imaarat dikhi jahan manushya dara sehma haath jode khada tha. Fir aage ek restaurant mila jahan ka haal dekha bansooar shehar mein rook na saka aur agle din murchhit awastha mein jungle mein kehta chal raha tha “Pashuta hi achchhiu hai … pashuta hi achchhi hai.”’
-
Pashuta Acchi Hai
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 6
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Series: Bankissa: Stories of Kingfisher
- Length: 33 mins
- Release Date: 30-06-20
- Language: Hindi
Add to cart failed.
Please try again laterAdd to wishlist failed.
Please try again laterPlease try again laterRegular price: ₹0.00
-
-
-
Barahsinghey
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 8
- Written by: Sunil Kumar Syncratic
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 15 mins
- Unabridged
-
Overall
-
Performance
-
Story
Jalkaak apni kamaanidaar gardan seedhi taan, uchak-uchak jheel ke daldali pradesh ki ore dekhne laga, fir bola ‘Mitra machchhraja udhar to koi vriksh bhi nahin fir wahan se shaakhayein chatakne ki aawz bhala kaise aa sakti hai?’ Machchhraja haste huye bola ‘Daldal mein baarahsingey varchaswa ki ladai lad rahe hain, ye unhi ke singon ke takrane ki awaz hai. Kabhi kabhi inke beech ki ladai bhayankar roop le leti hai, mujhe aisa hi ek vaakya yaad aa raha hai.’ Fir kya, mitramandali baith gayi kissagoi karne. ‘Tad tad tadak … kachhar pradesh ke sarhad par vrikshrahit ghaas ke daldali maidan mein lad rahe do baarahsingon ke sing takrane ki awaz thi. Dono badi der se lad rahe the aur is ladai ka ant hota na dikhta tha. Aaj veh ek-doosre ki jaan lene ko taiyaar the. Yeh ladai astitva ki thi. Ye mrityu yudh tha, jo jitega wahi bachega. Yeh ladai varchaswa ki nahin uttarjeevita ki thi, isise dono maidan chhodne ko taiyaar na the. Aaj unmein gajab ki jijeevisha bhar gayi thi, veh bina khaye, bina piye, isi tarah kai ghanton se lad rahe the. Sab thak gaye par veh na thakte the. Unhe kuchh khabar nahin ki aas-paas kya ho raha tha, ve bus ladte jaa rahe the. Achanak gaganbhedi goonj ke saath jordar takkar hui. Dono baarahsingon ke bahushaakhit sing ek doosre mein sannivisht ho buri tarah ulajh gaye, sing jakad gaye, sir aur gardan bhi jakad gaye, aur fir ek saath bhoomi par gir pade aur dubaara kabhi na uthe.’ Ant mein jalkaak ne kaha, athak ladaiyaan ladne-wale baarahsingey aapas mein ladkar mar gaye, per kabhi unse ladne ki na sochi jo unki durdasha ke jimmevaar the.
-
Barahsinghey
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 8
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Series: Bankissa: Stories of Kingfisher
- Length: 15 mins
- Release Date: 30-06-20
- Language: Hindi
Add to cart failed.
Please try again laterAdd to wishlist failed.
Please try again laterPlease try again laterRegular price: ₹0.00
-
-
-
Traasdi
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 11
- Written by: Sunil Kumar Syncratic
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 15 mins
- Unabridged
-
Overall
-
Performance
-
Story
Jheel ke kinaare sampoorn sannata pasara tha. Chaand ki roshani mein sabkuchh spasht dikh raha tha. Kachhuwe ne apne aaye mitron se poochha bhor ho gayi kya? Ispar jalkaak ne kaha ‘Hum to yahi samajhkar aaye the, per lagta hai raat vihansi hai.’ Kachhuwe ke poochhne bhar ki deri thi, ki machchhraja bol pada ‘Chandni raat mein kabhi kabhi bhor ka ehsaas hone lagta hai aur jab bahut der tak bhor nahin hota toh hum thaga sa mehsoos karte hain. Is tarah raat thitholi karti hai jise raat ka vihasna kehte hain.’ Raat ki machhliyon ko jal satah par dekh machchhraja kissa sunane laga aur uske mitra sunne. ‘Jahan kai taarh ke jeev rehte hon, wahan aapsi tulana shuru ho jaati hai, aur tulnaatmak soch mein sabse pehle baat taakat ki hoti hai. Ab samasya aayi taakat ko maapa kaise jaye? Samadhan nikala, jo apne wajan ka jitna guna wajan uthayega, wah utna hi takatwar mana jayega. Sabhi janwar apne aap ko takatwar batane lage. Haathi sirf apne wajan ka aadha bojh to garud apne wajan ke barabar to tenduye ne doguna wajan uthaya. Tabhi gadhe ne kaha ki “Main sabse takatwar hoon kyonki main apne wajan ka teen guna wajan uthata hoon,” fir cheenti ne apni pratidwandita prastut ki, tabhi ghongha bol pada “Main dus guna bojh uthata hoon.” Taakatwar ka taj milne hi wala tha tabhi ek gubraila ne kaha woh hai sabse takatwar kyonki vah apne wajan ka sahasraguna wajan uthata hai. Vijeta ghoshit hote hi gubraila ped se girkar jameen par ulta ho jaata hai. Laakh koshishon ke baad bhi duniya ka sabse taakatwar ghosit jaanwar seedha bhi nahin ho paata hai.’ Machchhraja fir bolta hai aaj maanav sabse takatwar hai parantu uska bhi apne shareer pe koi vash nahin hai gubraile ki tarah.
-
Traasdi
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 11
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Series: Bankissa: Stories of Kingfisher
- Length: 15 mins
- Release Date: 30-06-20
- Language: Hindi
Add to cart failed.
Please try again laterAdd to wishlist failed.
Please try again laterPlease try again laterRegular price: ₹0.00
-
-
-
Partantrata Ki Booh
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 9
- Written by: Sunil Kumar Syncratic
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 28 mins
- Unabridged
-
Overall
-
Performance
-
Story
Jalkaak ne apne mitron ko ek vichitra ghatna sunata hai. Gauraiye ka jhoond baaz ko thokar maar raha tha aur baaz bhagta fir raha tha. Machchhraja ne kaha ‘Iska kaaran tumhe swatah samajh aa jayega, jab tumlog un chaupaayon ka kissa sunoge jo manushyon ka saath chhod apne dum par rehne jungle gaye the. Kisse ka zikr aate hi jheel ke ghanishth mitron ki toli taiyaar ho gayi kissagoi ki. ‘Ek baar ek billi manushyon ke atyachar se dukhi hokar jungle ki ore nikal padti hai. Ek kutte ne dekha aur socha pata karna chahiye. Wo billi ke pass gaya aur uske udasi ka kaaran poochha. Billi ne apne upar huye atyachar ko bataya, itne mein kutta bhi bol pada ‘Main bhi chaloonga tumhare saath.’ Ye manushya hum sabhi ko satate hain. Raaste mein inhe gaay, gadha, bhainsa aur bakra ka bhi saath mila aur sabhi jungle ki ore chal diye. Jungle dekh kar sabhi kaafi praphullit huye tabhi unhe ek gaur dikha. Gaur ne unhe saavdhan karaya ki jungle mein kitni kathinaayi aur khatra hai. Magar veh maane nahin. Tab gaur ne kaha ki ‘Tumhare shareer se partantrata ki boo aa rahi jo tumhe jungle mein nahin rehne dega kyonki jo swabhiman se aaya wahi jungle mein reh sakta hai, kasht jhel sakta hai woh nahin jo kasht se kshubdh ho kar aaya hai. Jungle ke andar hinsak janwar aur lahoo-luhaan praniyon ko dekhkar sabhi ulte paaon shehar ki ore bhag liye.’ Tab jalkaak ne kaha ‘Wo baaz manushya ka paaltoo raha hoga aur gauraiyon ko baaz se partantrata ki boo aa rahi hogi. Isliye weh use thokar maarkar laut jaane ko keh rahi hongi kyonki unhe aabhaash ho gaya hoga ki swatantra aakash mein iska guzara nahin ho paayega.’
-
Partantrata Ki Booh
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 9
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Series: Bankissa: Stories of Kingfisher
- Length: 28 mins
- Release Date: 30-06-20
- Language: Hindi
Add to cart failed.
Please try again laterAdd to wishlist failed.
Please try again laterPlease try again laterRegular price: ₹0.00
-
-
-
Shakti Aur Adhikaar
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 20
- Written by: Sunil Kumar Syncratic
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 23 mins
- Unabridged
-
Overall
-
Performance
-
Story
Jheel ka chhichhala paani tez varsha ke karan matmaila ho rakha tha, jiske karan kachhuwa aur jalkaak machhli pakad nahin paa rahe the. Machchhraja ne unhe intezaar karne ko kaha to unhone kahani sunane ka aagrah kiya. Fir kya tha shuru ho gaya kissagoi jheel ke ghanishth mitron ki. ‘Kahani ek jungle ki hai jahan maansaahari aur shaakaahari janwar rehte the. Magar wahan shaasan vyavstha ka saara jimma maansaahari janwaron ke paas tha. Sher karyapalika ka pradhan tha, geedad vyasthaapika ka, aur vishal kaala bhaloo nyaaypalika ka pramukh tha. Sabhi shaakaahari janwar maansaahari janwaron ke vartaw tatha unke atyaachar se kaafi pareshan the. Ek din shaakaahari janwaron ne sher ke gufa ke bahar sangathit hokar virodh jatane lage aur apne adhikaaron ki maang ki. Shaakaahariyon ke virodh ki prabaltaa aur badh gayi saath hi saath wo kaafi ugra aur hinsak ho uthe. Mahaul ko bhaap kar sher ne unhe saare adhikaar de diye jo unhone maanga. Shaakaahari janwaron ne sher se prashn karne ka, samanta ka, swechchhacharita ka, aatmabhimaan ka aur jeene tatha nyaay ka adhikaaron ki maang ki thi. Saare adhikaar milne ke baad sabhi janwar khushi khushi wahan se chale gaye. Tab sher ne apne chamchon se kaha “Tumlog apna kaam yathawat jaari rakho kyonki unhone adhikaar maange hain shakti nahin maangi. Unhe maangna chahiye tha adhikaaron ko paane ka adhikaar. Ab ye sirf adhikaar maang sakte hain magar manwa nahin sakte.”’ Kachhuwa kehta hai bechare shaakaahari adhikaar lekar kya karenge jab unhe manwane ki shakti hi na ho. Jalkaak bhi bol padta hai kaash ki wo janwar shakti aur adhikaar ka fark samajh paate to unki durdasha na hoti.
-
Shakti Aur Adhikaar
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 20
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Series: Bankissa: Stories of Kingfisher
- Length: 23 mins
- Release Date: 30-06-20
- Language: Hindi
Add to cart failed.
Please try again laterAdd to wishlist failed.
Please try again laterPlease try again laterRegular price: ₹0.00
-
-
-
Who Kaun Tha
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 15
- Written by: Sunil Kumar Syncratic
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 13 mins
- Unabridged
-
Overall
-
Performance
-
Story
Aaj kachhuwa bada sakriya tha. Aamtaur per apni susti ke liye prasidh yeh kawachdhaari dhoop sokhane ke baad hi sakriya hota tha, par aaj gajardum se utsaahit ghoom raha tha. Vah machchhraja ko kuchh batane ke liye vyagra jaan padta tha. Kachhuwa jhat se wahan khada ho gaya jahan machchhraja utarne-wala tha. Kachhuwe ne apne mitra se kaha kal raat usne aadami dekha. Uski bahuprateekshit ichchha poori ho gayi. Usne dharti ke sabase adbhut jeev ko dekh liya. Machchhraja haste huye bolta hai itni thandh aur raat mein aadami kyon aayega yahan. ‘Tumhe bhram hua hoga. Magar fir bhi sahi aakalan karne ke liye main kuchh sawal poochhta hoon us jeev ke baare mein fir yah nirnay lenge ki vah aadami tha kya koi anya jeev.’ Machharaja ne us jeev ka kad-kathi aur aankhon ke baare mein poochha? Kachhuwa dwara us jeev ka vivaran bilkul insanon se male khata tha. Machchhraja ne uske chalne aur poonchh par sawal kiya. Jawab fir insanon se male khata tha. Fir machchhraja ne usse wastron ke baare mein poochha. Kahhuwa ne bataya ki uska shareer wastron se dhaka hua tha. Ab machchhraja uljhan mein pad gaya fir bhi use yakeen nahin hua. Usne us jagah ke baare mein poochha jahan kachhuwa ne us jeev ko dekha tha. Kachhuwa kehta hai wo jeev abhi bhi jheel mein hai aur mrit pada hoga, kyonki usne jheel mein khud ko doobane ke liye nishchesht chhod diya tha. Tab machchhraja ne kahan woh jeev aadmi hi tha. ‘Tumne aadmi ko dekh liya.’ Ab kachhuwa asmanjas mein pad gaya aur machchhraja se uske yakeen ka karan poochhne laga. Ispar machchhraja ne kaha poore dharti pe sirf insaan hi hai jo aatmhatya karta hai baaki koi aur jeev nahin.
-
Who Kaun Tha
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 15
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Series: Bankissa: Stories of Kingfisher
- Length: 13 mins
- Release Date: 30-06-20
- Language: Hindi
Add to cart failed.
Please try again laterAdd to wishlist failed.
Please try again laterPlease try again laterRegular price: ₹0.00
-
-
-
Baadlon Ke Paar
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 12
- Written by: Sunil Kumar Syncratic
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 21 mins
- Unabridged
-
Overall
-
Performance
-
Story
Baadalon ko nihaarte huye kachhuwa bola ‘Baadal bade ajeeb hote hain na! Yeh dharti se door apni alag hi duniya basate hain, wahan sabkuchh hai, dharti sareekhi banawatein. Inke bina aakash kitna soona lagta hai.’ Jalkaak bol padta hai: ‘Sach kaha, mitra, badalon ki duniya niraali hoti hai aur mujhe khoob lubhati hai. Jab bhi main unhe dekhta hoon, wahan pohonchne ka romanch mujhe anand se bhar deta hai. Machchhraja bolta hai, ‘Tum logon ki baatein sunkar mujhe anaayaas us pakshi ki yaad aagayi jo baadalon per basera karne gaya tha.’ Itna kehne ki der thi ki fir shuru ho gaya kisson ka daur. ‘Neele aakash ki unchai mein ek parinda dheere-dheere upar uth raha tha. Bahut unchai mein chadhkar chakkar kaatne-wali cheel bhi usse utni hi neeche nazar aati thi jitni dharti se upar. Saaf nazar aata tha ki ab usse upar sirf baadal hain. Vah dharti ka ek titiha tha jo lagatar baadalon ki ore badhta jaa raha tha. Kaafi mushkilon aur mehnat ke baad titiha aakhir apne sapnon ke duniya baadalon ki duniya mein pohonch jaata hai. Titiha bahut der tak baadalon ki niraali duniya ka anand leta raha. Titiha budbudata hai ‘Baadalon mein ab tumhari safed malmal ki tarah komal bhoomi par utar raha hoon.’ Par yah kya, vah baadalon mein samata chala jaa raha tha. Vah sochata hai, ye baadal nahin ye to safed jhooth hain, spasht hua lekin sparsh ke baad. Pankhon ki shakti khatm hone per titiha kisi tarah hawa se nipatta hua chakkar khate neeche ki ore girta gaya. Jab aankh khooli to dekha ye uska wahi ghaasleti basera hai. Uske baad usne kabhi baadalon ki ore nahin dekha.’ Ispar jalkaak kehta hai, ‘Yah sach hai, mitra, hum swapnil kshano ke kalpana mein vartaman ki upeksha karte chale jaate hain.
-
Baadlon Ke Paar
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 12
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Series: Bankissa: Stories of Kingfisher
- Length: 21 mins
- Release Date: 30-06-20
- Language: Hindi
Add to cart failed.
Please try again laterAdd to wishlist failed.
Please try again laterPlease try again laterRegular price: ₹0.00
-
-
-
Mulyaheen Dogle
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 13
- Written by: Sunil Kumar Syncratic
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 12 mins
- Unabridged
-
Overall
-
Performance
-
Story
Jheel ke tat per koi jaanwar mara pada tha, jise khaane ke liye geedh aur lakadbaghey jama ho rahe the. Wahan geedhon aur lakadbaghon ke bhayankar shor uth raha tha. Ispar kachhuwa bolta hai, ‘Mitra, ye geedhon aur lakadbaghon mein kaisi dushmani hai?’ Machchhraja bolta hai, ‘Ek baar geedh ne lakadbaghon ki hansi udaai thi tab se lakadbaghey unhe kaatne daudte hain.’ Yeh keh machchhraja, kachhuwa aur jalkaak ke beech baith gaya tatha geedh aur lakadbaghon ka kissa sunane laga. ‘Ek baar jungle mein lakadbaghon ki mahasabha ho rahi thi. Jhund mein kaafi gehmagehmi thi. Sabke maathe per khaal ki chunnat padi thi. Sab uttejit aur aakroshit the. Lakadbaghey behad pareshan dikh rahe the, keetanugrast much se vishaili laar gir rahi thi. Ek geedh door se unki saari bhaw-bhangimaaon ko dekh raha tha. Geedh bada doordarshi tha. Lakadbaghey bhi use taadte rehte the aur dono ek doosre par nazar rakhte the. Geedh lakadbaghon ke paas jaa kar unki samasya poochhta hai. Lakadbaghey bole, “Hamari khinnta ka kaaran bus ek hai: bhrashtachaar.’ Geedh bolta hai ‘Iska kaaran tum swayam ho.” Uski muskuraahat jyada lambi aur bhaavwahak thi. Geedh unhe shhant rehne ko bolkar poochhta hai “Tumlog ho kaun?” Fir khud bolta hai “Moolyaheen dogale” aur fir uski hansi foot padti hai. Jabtak lakadbaghey uska abhipraay samajhte, geedh wahan se udd jata hai. Magar lakadbaghey abhi tak geedh ka uphaas bhool nahin paye.’ Kissa khatm hone per kachhuwa bolta hai, ‘Par lakadbaghey sach kahan sunana chate hain? Jis tarah ve dogale hain, unki baatein dwiarthi hain, maansikta dohari hai, usi tarah unki duvidha bhi dogali hai aur uske samadhan ki ichchha bhi.’
-
Mulyaheen Dogle
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 13
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Series: Bankissa: Stories of Kingfisher
- Length: 12 mins
- Release Date: 30-06-20
- Language: Hindi
Add to cart failed.
Please try again laterAdd to wishlist failed.
Please try again laterPlease try again laterRegular price: ₹0.00
-
-
-
Apne Aapko Pahchaniye
- Written by: Swett Marden
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 4 hrs and 42 mins
- Unabridged
-
Overall
-
Performance
-
Story
Safal vyaktiyon ke kaary karne kaa tareeka apne aap mein any logon se alag hota hai. Safalta chaahe chhotee ho ya badee iske peechhe yojana tatha uske anusaar kaary karne kaa vishesh mahatva hota hai. Safal vyakti apnee kshamtaaon kaa har samay bharpoor prayog karte hain. Is pustak mein Safalta praapti ke anek upaay bataye gaye hain. Yah pustak jeevan ko nikhaarne ke liye har drishti se sangrahneey hai.
-
Apne Aapko Pahchaniye
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 4 hrs and 42 mins
- Release Date: 04-02-21
- Language: Hindi
Add to cart failed.
Please try again laterAdd to wishlist failed.
Please try again laterPlease try again laterRegular price: ₹501.00
-
-
-
Annunaad
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 7
- Written by: Sunil Kumar Syncratic
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 30 mins
- Unabridged
-
Overall
-
Performance
-
Story
Kissagoi ho aur kachhuwa aur jalkaak chook jayein, aisa ho sakta hai kya! Veh machhli aur jheel ke bina reh sakte hain lekin kiss ek-ke bina nahin. Upar se unki jaanlewa jigyansa jo maar hi daale agar shamit na ho. Astu, dono kissakhor turant machchhraja ke sameep jaa baithe. Machchhraja jo manushyon ko jheel ke sameep dekhkar kuchh puratan kahani mein kho gaya tha, kachhuwye ki khopdi par chadh apni chonch upar utha, kahani ke dharatal per utar aaya. ‘Cheel ke deergh aah bharkar budbudai: “Main kahan hoon?” Usne kabhi aisi raat aur aisa andhera nahin dekha tha. Cheel ka abhitak ka jeevan kachre ki nadi aur basera inhi dono ke beech guzara tha. Yeh cheel ek shehari pakshi tha jahan din raat ka koi fark nahin tha. Aur yahan har taraf gehra andhera aur sannata. Cheel bifar padi “Chhi main kahan fas gayi?” Uski mann ki kudhan bahar nikli “Ye ujjad raat mujhe bhi jad kar dena chati hai, par main iske vash mein nahin aaungi”, aur pata nahin kab vah raat mein samahit ho gayi. Subah jab aankh khuli to vah sann reh gayi. Kachche ghaans ki khushboo sarvatra fail gayi hai. Ek badi nadi beh rahi hai. Suryoday ke saath pashchim se bayaar bhi chalne lagi. Inke saath cheel ke antarman mein spandan hone laga. Uske Khushi ka thikana na tha aur usne chir shaanti ka anubhav kiya. Ab wo aakash mein uthkar dekhna lagi ki dhara ke kis hisse mein aagayi hai? Upar jaane pe pata chala ki yeh shanti cheel ko ek grameen kshetra mein mili.’ Ant mein machchhraja kehta hai waise hi manushya shanti ke liye parvat aur jheelon ke kinare bhatakte hain magar asali shanti to gaon badhar aur prakriti ke aangan mein hai.
-
Annunaad
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 7
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Series: Bankissa: Stories of Kingfisher
- Length: 30 mins
- Release Date: 30-06-20
- Language: Hindi
Add to cart failed.
Please try again laterAdd to wishlist failed.
Please try again laterPlease try again laterRegular price: ₹0.00
-
-
-
Unnchi Pooch
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 14
- Written by: Sunil Kumar Syncratic
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 15 mins
- Unabridged
-
Overall
-
Performance
-
Story
Aaj machchhraja aur jalkaak ko jheel par aane mein kaafi der ho jaati hai. Kachhuwa kehta hai, ‘Ab to machhliyan bhi kinare se jaa chuki hain, ab hum karenge kya?’ Turant jalkaak bol padta hai, ‘Kyon na mitra machchhraja se kissa suna jaye?’ Fir kya tha, jheel ke ghanishth mitron ki mandali baith gayi kissagoi ko. Machchhraja maan gaya, lambi chonch upar uthai aur kehne laga: ‘Chaaron taraf ghane jungalon se ghira ek gaon tha. Gaon mein bada balishth kutta rehta tha. Chaudaa sir, moti gardan ke jariye dhad se mila hua tha. Behad bhayanak dikhane-wale kate-fate chehre pe daaton aur nakhon ke asankhya nishaan, dekhne-walon ko uski ladakoo pravriti ka sehaj ehsaas kara dete the. Kutte ka swabhaw bada aakramak tha. Agar koi dekh le to chunauti maan leta. Use dekhte hi kutte poonchh gira liya karte aur jo kutta poonchh na jhukaye use fir chhodta na tha. Aas-paas ke log use baagh kehte the aur use baagh kehlana pasand aata tha. Ek raat us kutte ki nazar ek ajeeb janwar par padi. Usne paas jaakar dekha aur socha hai to ye kutta hi, ajeeb kutta par iske khaal ghaas ki parchhain jaisi lakeerein hain. Usne uski poonchh ki ore dekha poonchh neeche zameen ko chhu rahi thi. Usne jungalee kutte ko lalkara magar us janwar ne koi dhyaan nahin diya aur shaaleenta se aage badh gaya. Kutta is ajeeb janwar ko lalkarne aur pareshan karne laga aur is ajeeb janwar par aakaraman kiya, magar yeh kya palak jhapkate hi is dhaareedaar kutta apni shhaleenta ko tyag bhayankar dahaad lagayi aur kutte ka ant kar diya. Ye janwar jungle ka baagh tha.’ Kachhuwa ne kaha hum kisi ki vinamrata aur sahishnuta ko uski kaayarta samajh lete hain.
-
Unnchi Pooch
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 14
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Series: Bankissa: Stories of Kingfisher
- Length: 15 mins
- Release Date: 30-06-20
- Language: Hindi
Add to cart failed.
Please try again laterAdd to wishlist failed.
Please try again laterPlease try again laterRegular price: ₹0.00
-
-
-
Dushchakra
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 18
- Written by: Sunil Kumar Syncratic
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 20 mins
- Unabridged
-
Overall
-
Performance
-
Story
Kachhuwa machchhraja se bolta hai, ‘Mitra, hum pashu-pakshi ka jeevan kitna katheen hota hai aur ek taraf aadmi hain, jisne har samasya ka samadhaan nikal liya hai.’ Machchhraja kehta hai, ‘Tab tumhe vah vrittant pata hi nahin hai warna tum unki prashansha nahin karte balki unke upar haste.’ Jalkaak aur kachhuwe ne ek saath poochha mazara kya hai aur fir machchhraja kahani sunane ki mudra mein aa jata hai. ‘Ek baar jungle mein ek badi ajeebogareeb vesh-bhoosha-wala aadami aaya. Peeth par bada sa upkaran ka pitthoo aur haath mein uska button. Aadmi janwaron ke kriya-kalapon mein roochi le raha tha aur note karte jaa raha tha. Jungle ke janwar ne usse poochha “Tum yahan kyon aaye ho?” Aadmi ne kaha “Main ek jeev-shodhkarta hoon aur main yahan tumhari jeevan-paddhati ka adhyayan karne aaya hoon. Aadmi ne pashu-pakshiyon se kai saare sawal kiya unke khane, ghar, peene ke gande paani, shasan vyavstha, chikitsa paddhati, ishwar ki pooja, raat mein prakash ki vyavastha, thandh se bachane ki vyavastha, aadi ko lekar aur unka jawab sunkar janwaron ka kaafi mazak udaya. Baaton mein raat ho chuki thi aur thandh bhi kaafi gehri ho gayi thi. Aadmi ne apne saath laaye kambal, khaana aur paani ka upyog kiya parantu use rahat na mili. Ab darr se wo Ishwar ka naam lene laga, magar koi samadhan na nikala. Ab hasne ki baari janwaron ki thi. Tabhi ek janwar ne kaha “Hum jungle se nikalne ka raasta tumhe bata denge magar iss kritrimta ke dushchakra se tumhe bahar kaun nikalega.”’ Kahani ke baad kachhuwa kehta hai sach mein maanav bhayankar dushchakra mein fasa hai. Maanav ko bhi prakriti se saamanjasya banakar aage badhna chahiye.
-
Dushchakra
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 18
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Series: Bankissa: Stories of Kingfisher
- Length: 20 mins
- Release Date: 30-06-20
- Language: Hindi
Add to cart failed.
Please try again laterAdd to wishlist failed.
Please try again laterPlease try again laterRegular price: ₹0.00
-
-
-
Bacche Janane Wale Nar
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 10
- Written by: Sunil Kumar Syncratic
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 11 mins
- Unabridged
-
Overall
-
Performance
-
Story
Jheel ke ghanishth mitra aaj der shaam tak sustaate rahe the jis karan machhliyan pakadne bhi der se nikale. Tabhi tat par achanak lakadbaghon ka ek jhund prakat hua. Unhe dekhkar kachuuwa bola ‘Kya yeh sach hai ki lakadbaghon mein maadayein nahin hoti?’ Jalkaak ne bhi bola usne bhi aisa suna hai. Tab machchhraja bola agar maadayein nahin hoti to bachche kaun janta hai? Jalkaak ne kaha ki nar, suna hai ki unmein bachche janane-wale nar hote hain. Machchhraja ne bola ‘Sach main batata hoon, per ye ek lambi kahani hai, fir kya tha mandali baith gayi.’ ‘Lakadbaghon mein bhi naradhipatya hua karta tha. Veh maadaon ke saath durvyawhaar karte aur khule aam unka yaun utpeedan karte aur khub satate. Tang aakar sabhi maadaon ne ek sammelan kiya aur ghoshna ki hum maadayein kisi se kam nahin. Hum is nar-pradhan vyavstha ko palat dengi aur naron se aage nikalkar dikhayengi. Fir kya tha, maadaon ne apna rehan-sehan, rang-roop, vyavhaar aur aakramakta naron jaise kar li. Dheere dheere maadayein bhi nar ki tarah dikhane lagi aur unhone jhund pe apna adhikar sthapit kar liya. Unhein dekhkar koi bhi nar-maada ka bhed nahin kar sakta tha. Jungle ke prani unhe dekhkar dang reh gaye. Lakadbaghon ke jhund mein sirf nar hi nar dikh rahe the. Tabhi kuchh dinon baad janwaron ne unhe prajnan karte dekha to turant ye khabar sarvatra fail gayi ki lakadbaghon mein maadayein nahin hoti, nar hi bachche jante hain.’ Kahani khatm hone per kachhuwa bol pada: ‘Wah ri maadayein! Naron se prithak pehchaan banane chali thi, bachche janne-waale nar ban gayi. Netritwa to paaya, per astitva hi kho diya.’
-
Bacche Janane Wale Nar
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 10
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Series: Bankissa: Stories of Kingfisher
- Length: 11 mins
- Release Date: 30-06-20
- Language: Hindi
Add to cart failed.
Please try again laterAdd to wishlist failed.
Please try again laterPlease try again laterRegular price: ₹0.00
-
-
-
Swift Ka Basera
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 19
- Written by: Sunil Kumar Syncratic
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 29 mins
- Unabridged
-
Overall
-
Performance
-
Story
Jheel ke ghanishth mitra apne gupt adde per baitha susta rahe the aur saath mein vartalap bhi chal raha tha. Mausam ke badalte rukh ko dekhkar kachhuwa bolta hai aakhir mausam kya sanket dena chahta hai? Aakash mein maheen baadal dekhkar jalkaak bhi kehta hai ‘Suna hai jab bhi aise baadal dikhte hain, toofan aata hai.’ Iss par machchhraja kehta hai toofan me kaafi samay hai, pehle cheel aur titaliyan aakash se hatengi fir toofan ke aage aage swift pakshi gujarenge, tab jaakar toofan aayega. Yah vartalap aage badhkar swift pakshi aur garud ki dushmani ki kahani mein parivartit ho gaya. ‘Samudra se ghira ek taapu tha jiska raja ek sunehra garud tha. Sabhi pakshiyon ka rehan-sehan aur basera unke kad ke anusaar nirdhaarit tha. Har pakshi ka ek basera tha aur raat ko wahin sota tha. Pakshi jitna bada hota tha, uska basera bhi utna vishal. Taapu ke sabse unche ped pe sabse vishal basera garud ka tha. Use sundar roop dene hetu hamesha naye naye upaay karta rehta tha. Ek baar usne sabhi pakshiyon se unke pankh maange taaki garud apne basere ko rang-biranga aur komal baan sake. Darr ke kaaran sabhi pakshi uski baat maan gaye magar nanhe swift pakshiyon ne mana kar diya. Unhone kaha “Pankh hi to hamare pakshi hone ka pramaan hai” aur fir aakash ki ore udd gaye. Gusse mein garud unke basere ko dhoondhne laga taaki use barbad kar sake, magar use kahin nahin mila aur thak-kar apne basere mein aagaya. Raatri mein garud ne swift ko aakash mein udte dekha aur unka gayan suna “Basera mat dhoondhana hamara, hum pankhon per rehne-wale hain.”’
-
Swift Ka Basera
- Bankissa: Stories of Kingfisher: Chapter 19
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Series: Bankissa: Stories of Kingfisher
- Length: 29 mins
- Release Date: 30-06-20
- Language: Hindi
Add to cart failed.
Please try again laterAdd to wishlist failed.
Please try again laterPlease try again laterRegular price: ₹0.00
-
-
-
Bol Bachchan [Speak Bachchan]
- Written by: Rupesh Dubey
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 5 hrs and 28 mins
- Unabridged
-
Overall
-
Performance
-
Story
Author Rupesh Dubey delves into the life of Indian cinema superstar Amitabh Bachchan in this compelling compilation of incidents from his journey in cinema, dialogues from his films and lessons from his life.
-
-
unique way to go explain the story of motivation.
- By Pranav Pancholi on 22-07-20
-
Bol Bachchan [Speak Bachchan]
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 5 hrs and 28 mins
- Release Date: 10-06-20
- Language: Hindi
Add to cart failed.
Please try again laterAdd to wishlist failed.
Please try again laterPlease try again laterRegular price: ₹668.00
-
-
-
Hum Sab Maahi [We All Know]
- Written by: Abhishek Kashyap
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 5 hrs and 6 mins
- Unabridged
-
Overall
-
Performance
-
Story
We all are mahi! This means, we are all loved by nature. We are nature's most beautiful creations. We are made to love and be loved. This is a story about individuals who came from different cities to Delhi in search of career and freedom. A story of friendship, love and loss. Despite the stress of earning a livelihood and paying day-to-day bills, the characters in this story manage to make a life for themselves. Their story is deeper and more intoxicating than the world's finest wine! So let's go on this roller coaster of emotions and experiences....
-
Hum Sab Maahi [We All Know]
- Narrated by: Neeraj Yadav
- Length: 5 hrs and 6 mins
- Release Date: 22-05-19
- Language: Hindi
Add to cart failed.
Please try again laterAdd to wishlist failed.
Please try again laterPlease try again laterRegular price: ₹284.00
-