Kishor Choudhari ke dwara likhi gayi yeh kitaab ek kahani sangrah hai. Lekhak is kitaab ko unke taauji Bheekhram Jakhad ke prati samarpit karte hue kitaab ki shuruaat karte hai. Is kitaab mein kul milakar nau kahaniyan hai jo bahut hi mazedar aur anand dayak hai. Kishor Choudhari ji ki lekhan shaili bahut hi saral hai, jiske kaaran is pustak ko padhna ek komal anubhav ban jaata hai. Is kitaab ki nau kahaniyon ke naam hai: ‘Guljan dekho parinde’, ‘Saat mulakaatein’, ‘Pakki zamanat’, ‘Shyamal sakhi teri’, ‘Jaadu bhari ladki’, ‘Us mausam ke din’, ‘Parde ke paar chidiya’, ‘Billiyan’, aur ‘Ek poora aadmi’.
Is pustak mein di gayi kahaniyon se jeevan mein moujood chhoti chhoti cheezon ke mahatva ko pathak samajh paate hai. Is pustak ki kahaniyon mein maujood vyakti aur ghatnayein poorn roop se kalpanik hai aur inka asli duniya ke kisi vyakti ya ghatnaon se koi sambandh nahi hai. Agar in kahaniyon mein maujood kisi vyakti ya ghatna ka kisi asli vyakti ya ghatna se koi sambandh nazar aaye, to vah bilkul yadrichachhik hai.