Yuvaaon ke Liye Chanakya

11 titles in series
4 out of 5 stars 5 ratings

Summary

‘Yuvaaon ke liye Chanakya’ Audible Suno ke liye likhi gayi 11 episode ki series hai, jise Dr. Radhakrishnan Pillai ne likha hai. Is series ko aawaaz di hai Babla Kocchar ne. 

Chanakya zarur 2,400 saal pahle ke chintak, darshnik aur vidvaan rahe, lekin unke vichaar aaj bhi utne hi praasangik hain. Ye series aaj ki peedhi ko safaltaa ke raaz bataati hai. Ye tay hai ki sadiyon puraane ye vichaar aapki soch ko badal daalenge. 

Dr. Pillai, Chanakya Institute for Public Leadership ke Director hain, aur unhein Chanakya Pillai ke naam se bhi jaana jaata hai. Dr Pillai praacheen gyaan aur maargdarshan ke zariye bhavishya ke leader taiyyar karne mein yakeen karte hain. 

Yuvaaon ki aankhon mein sapne hote hain, lekin unhein pankhon ki zarurat hoti hai. Unmein leadership qualities hoti hain, lekin unhein a coach - ek maargdarshak chahiye hota hai. Aur Chanakya ki seekh theek yahi karti rahi hai! Vishwa ke mahaantam guruon mein se ek, Chanakya kingmaker, leadership coach, aur behtareen ran-neetikar the. Ek aisa insaan, jisne apni buddhi ke dam shaktishaali rajaon ko haraaya aur yuvaaon ko satta mein lekar aaya. Kautilya ka ‘Arthashastra’ aur ‘Chanakya Neeti’ aaj bhi prerna deta hai. Chanakya ki is pracheen gyaan ko naye tareeke se bataati ye series unn sabhi logon ko zarur sunni chahiye jo jeevan mein safalta haasil karna chaahte hain.

Disclaimer: Iss show mein vyakt ki gayi raye, show mein pradarshit hone waale vyaktiyon ki vyaktigat hain, na ki Audible ki. Iss show ka uddeyshya kisi bhi vyakti, sansthan, jaati, samuday ya dharm ko badnaam karne ya kisi sansthan ya vyakti, jeevit ya mrit ko badnaam karna nahin hai. Iss show mein swasthya sthithiyon ka varnan hai jo kuch shrotaaon ke liye kashtkaari ho sakta hai. Shrota ko vivek se faisla lene ki salaah di jaati hai.

Show More Show Less
Product List
  • Prastavna cover art
    Not Available on Audible.in

  • Chanakya: Mission Par Nikla Ek Aadmi cover art
    Not Available on Audible.in

  • Jeevan Aur Career Ki Yojna cover art
    Not Available on Audible.in

  • Apne Junoon Ke Peeche Jaana cover art
    Not Available on Audible.in

  • Aarthik Lakshya Aur Sampatti Banane Ke Chaar Charan cover art
    • Aarthik Lakshya Aur Sampatti Banane Ke Chaar Charan

    • Yuvaaon ke Liye Chanakya, Adhyay Paanch
    • Written by: Dr. Radhakrishnan Pillai
    Not Available on Audible.in

  • Parivaar- Neev Aur Sahara cover art
    Not Available on Audible.in

  • Sehat - Sabse Badi Daulat cover art
    Not Available on Audible.in

  • Takneek Ke Samay Mein Time Management cover art
    Not Available on Audible.in

  • Seekhna Jeevan Bhar cover art
    Not Available on Audible.in

  • Retirement Ki Yojna cover art
    Not Available on Audible.in

  • Naitikta, Moolya, aur Aadhyaatm cover art
    Not Available on Audible.in