Episodes

  • SPHP EP 181 - Exorcism and Possession | Hindi Horror Stories | Scary Pumpkin Podcast | Darr Ki Sacchi Kahani
    Nov 17 2026

    ⚠️ Channel DisclaimerAll stories on this channel are fictional and created for entertainment purposes only. This content includes horror themes, disturbing scenes, and is intended for a mature audience. This channel is not made for kids.Please Subscribe to Scary Pumpkin : - https://bit.ly/2ZOPIIeNow you can also enjoy our horror story in audio format.Spotify ► https://spoti.fi/3EnQ78JFacebook ► / scarypumpkin Instagram ► / scarypumpki Twitter ► / scarypumpkin07 ------------------------------------------------------------------#exorcism #scarypumpkinnewstory #Scarypumpkin #HorrorStories

    Show More Show Less
    42 mins
  • SPHP EP 180 - Diwali Wali Chudail | Hindi Horror Stories | Scary Pumpkin Podcast | Darr Ki Sacchi Kahani
    Nov 12 2026


    Diwali ki Amavasya ki raat Sonam apne husband ke saath friend ke ghar ja rahi hoti hai. Raaste mein shamshan ke paas use white gown pehni ek rahasyamayi aurat dikhai deti hai. Sonam usse ignore karke aage badh jaati hai, lekin woh aurat uska peecha karte hue uske friend ke ghar tak pahunch jaati hai. Ab Sonam ko woh har jagah nazar aane lagti hai. Aakhir kaun hai woh aurat aur Sonam se kya chahti hai? Jaaniye Diwali ki us khaufnaak raat ka bhayanak raaz!

    Show More Show Less
    19 mins
  • SPHP EP 179 - Annabelle Horror Story | Hindi Horror Stories | Scary Pumpkin Podcast | Darr Ki Sacchi Kahani
    Nov 6 2026

    1970 mein Donna naam ki ek nursing student ko ek Raggedy Ann doll gift mein milti hai. Lekin jald hi gudia apni jagah badalne lagti hai, mysterious notes milne lagte hain aur ghar mein khaufnaak paranormal incidents hone lagte hain.

    Jab maamla Ed aur Lorraine Warren tak pahunchta hai, toh ek aisa raaz saamne aata hai jo sabko hila deta hai. Kya Annabelle mein kisi bachchi ki aatma thi ya phir koi khatarnak demonic entity?

    Jaaniye duniya ki sabse famous haunted doll Annabelle ki darawani sachchi kahani!

    Show More Show Less
    17 mins
  • SPHP EP 178 - Namak Mangnewali Chudail Horror Story | Hindi Horror Stories | Scary Pumpkin Podcast | Darr Ki Sacchi Kahani
    Oct 28 2026

    Chhattisgarh ke ghane jangalon mein base Kusumdongri gaon mein ek ajeeb rule hai — suraj dhalne ke baad kisi ko namak nahi diya jaata. Gaon walon ka maanna hai ki agar aadhi raat ko koi aurat darwaze par aakar sirf ek mutthi namak maange, toh galti se bhi darwaza mat kholna!

    Lekin naye government school teacher Arvind Mishra ne gaon walon ki is warning ko andhvishwas samajhkar ignore kar diya. Ek raat safed saari pehni ek rahasyamayi aurat uske darwaze par aayi aur Arvind ne use namak de diya. Bas, us ek chhoti si galti ke baad uski zindagi mein shuru hua khaufnaak silsila!

    Aakhir kaun hai woh Namak Maangne Wali Aurat? Uski kaali aankhon aur khaufnaak muskaan ke peeche kya raaz chhupa hai? Aur namak lene ke baad ab woh Arvind se kya maangne aayi hai?

    Jaanne ke liye dekhiye Scary Pumpkin ki yeh khaufnaak horror story — “Namak Maangne Wali Aurat”! 👻🎃

    ⚠️ Warning: Raat ko akele dekhne ki himmat hai? Kyunki is kahani ke baad shayad aap bhi aadhi raat ko darwaza kholne se pehle sau baar sochenge!

    Show More Show Less
    23 mins
  • SPHP EP 177 - Adhura Tantra Horror Story | Hindi Horror Stories | Scary Pumpkin Podcast | Darr Ki Sacchi Kahani
    Oct 16 2026


    अमन एक बेरोज़गार और अकेले रहने वाला युवक है, जो पुरानी किताबों में लिखी रहस्यमयी शक्तियों को आज़माने के लिए एक अधूरी तांत्रिक क्रिया करता है। अनजाने में वह एक खतरनाक भटकती आत्मा को जगा देता है, जो उससे बदला लेने पर उतारू हो जाती है। आत्मा से छुटकारा पाने की कोशिश में अमन एक और गलती कर बैठता है, जिसकी कीमत उसे अपनी जान देकर चुकानी पड़ती है। लेकिन उसकी मौत के बाद भी उस श्मशान में उसकी दर्दनाक चीखें गूँजती रहती हैं। 👻

    Aman ek berozgaar aur akela rehne wala ladka hai, jo purani kitaabon mein likhi rahasyamayi shaktiyon ko aazmane ke liye ek adhuri tantrik kriya karta hai. Anjaane mein woh ek khatarnak bhatakti aatma ko jaga deta hai, jo usse badla lene par utar aati hai. Aatma se bachne ki koshish mein Aman ek aur galti kar baithta hai, jiski keemat use apni jaan dekar chukani padti hai. Lekin uski maut ke baad bhi us shamshaan mein aaj tak uski dardnaak cheekhein goonjti hain—“Bachao... koi toh bachao!” 👻

    Show More Show Less
    19 mins
  • SPHP EP 176 - Chakwa Horror Story | Hindi Horror Stories | Scary Pumpkin Podcast | Darr Ki Sacchi Kahani
    Oct 9 2026

    Agar raat ke sunsaan raste par ek hi aurat baar-baar dikhai de… toh samajh jao, shayad tum raste par nahi, kisi ke jaal mein chal rahe ho.

    Ek bhayanak barsati raat mein mortuary attendant Manoj accident mein mare ek insaan ki body lene nikalta hai. Rastemein use ek ajeeb aurat baar-baar nazar aati hai. GPS bhi use baar-baar wahi jagah par le jaata hai.

    Dheere-dheere Manoj ko samajh aata hai ki woh Chakwa ke khaufnaak jaal mein phans chuka hai. Lekin jab woh kisi tarah hospital wapas pahunchta hai, toh saamne jo sach aata hai, usse uski rooh kaanp jaati hai—

    kyunki jis laash ko lene woh nikla tha… woh laash uski khud ki thi.

    Show More Show Less
    14 mins
  • SPHP EP 175 - Recarnation Horror Story | Hindi Horror Stories | Scary Pumpkin Podcast | Darr Ki Sacchi Kahani
    Sep 30 2026

    Ek seedhi-saadhi gaon ki ladki Sumitra ki maut ke baad uski laash achanak shamshaan mein zinda ho jaati hai. Lekin jo wapas aayi hai… woh Sumitra nahi hai. Woh khud ko Shiva batati hai—Etawah ki ek padhi-likhi aurat, jiski kuch mahine pehle rahasyamayi maut ho chuki thi.

    Jab Shiva apni maut aur hatya se judi aisi details batati hai jo sirf uske parivaar ko pata thi, toh researchers bhi hairaan reh jaate hain. Kya ye reincarnation hai… ya kisi mrit aatma ka par-kaya pravesh?

    Ek aisi khaufnaak kahani, jahan maut ke baad bhi insaaf ki talaash khatam nahi hoti…

    Show More Show Less
    16 mins
  • SPHP EP 174 - Nisf E Jinn | Horror Story | Hindi Horror Stories | Scary Pumpkin Podcast | Darr Ki Sacchi Kahani
    Sep 23 2026

    Ek sunsaan Himachal ke jungle mein ek ladki Sana zakhmi haalat mein milti hai, jiske body par ajeeb ritual ke nishaan hote hain. Arif use apne ghar le aata hai, lekin jald hi usse mehsoos hota hai ki Sana sirf ek normal ladki nahi hai.

    Ek purani kitaab, ek khaufnaak cult aur “Nisf-e-Jinn” naam ka ek raaz saamne aata hai—aisa existence jo insaan aur jinn ki duniya ke beech ek darwaza khol sakta hai.

    Lekin sabse bada sawaal hai… Sana ko kisne banaya, aur Arif ka usse kya connection hai?
    Jo darwaza khulta hai, kya woh kabhi dobara band ho payega?

    Show More Show Less
    22 mins