• Prastavna

    Prastavna

    Yuvaaon ke Liye Chanakya, Adhyay Ek
    Sep 1 2020
    Ek baar ki baat hai, ek naujawaan apne haathon se apni jaan lena chaahta thaa. Zindagi se hataash, use jeevan mein na lakshya mil raha thha, na jeene ki koi wajah ussey dikhaayi de rahi tthi. Alag alag tarah ki padhaayi ke saath saath usne alag alag tarah ke career ke raaste chune, lekin kahin safalta nahin mili. Uski niji zindagi bhi bahut acchi nahin chal rahi tthi. Saccha pyaar nahin mila tha, aur parivaar ya doston se baat karne ka koi faayda ussey dikhaayi nahin deta thha. Usne professional madad aur self help kitaabon ka sahaara liya, lekin ussey bhi uski samasya poori tarah hal nahin ho paayi. Ek din poori tarah niraash hokar usne soch hi liya, “Is tarah jeene ka kya faayda? Accha hai ki main apni zindagi khatm kar loon!” Aur bas, yahi sochkar usne khudkushi ka faisla kar liya. Kya aap bhi is naujawaan ki uljhaanon se zindagi mein kabhi na kabhi guzar chuke hain? Kya aapko bhi kabhi laga hai ki is jeevan ka koi faayda nahin? Pareshaan hone ki zarurat nahin. Chanakya aapko aapki zindagi se mushkilon se baahar nikaalne ka raasta dikhaayenge.
    Show More Show Less
    21 mins
  • Chanakya: Mission Par Nikla Ek Aadmi

    Chanakya: Mission Par Nikla Ek Aadmi

    Yuvaaon ke Liye Chanakya, Adhyay Do
    Sep 1 2020
    Chanakya ne zindagi mein bahut mushkilein uthaayin. Chanakya ke pita Chanak Magadh Naresh Raja Dhananand ke darbaar mein Raj Neeti padhaaya karte thhe, aur Raja ne unka vadh karwa diya. Apne pita ki hatya ke baad Chanakya ko Patliputra se bhaagkar Takshashila jaana pada, jahaan unhon apni padhaayi poori ki. Jab Chanakya apni shikhsha poori karke waapas laute to naye utsaah aur sankalp se bhare huye thhe. Agle kuch saalon mein hi is yuva ne na sirf Magadh, balki sampurna Bharat ka itihaas badal daala. Aakhir ek shikshak ke bete ne itna sabkuch kaise kiya? Suniya aur jaaniye.
    Show More Show Less
    45 mins
  • Jeevan Aur Career Ki Yojna

    Jeevan Aur Career Ki Yojna

    Yuvaaon ke Liye Chanakya, Adhyay Teen
    Sep 1 2020
    Chanakya sabse pahle ye bataate hain ki apne jeevan ke shuruaati saal kaise jiye jaayein. Insaan ke roop mein paida hona apne aap mein khaas hai. Jaisa ki kaha jaata hai, ‘Apne kaam ki yojna banaao, aur yojna par kaa karo’. Usi tarah hum bhi apni zindadi aur apne career ki yojna bana sakte hain. Is chapter mein jaaniye ki jeevan mein apne lakshya ko kaise samjha jaaye, aur kaise ussey haasil karne mein safalta haasil ki jaaye.
    Show More Show Less
    41 mins
  • Apne Junoon Ke Peeche Jaana

    Apne Junoon Ke Peeche Jaana

    Yuvaaon ke Liye Chanakya, Adhyay Chaar
    Sep 1 2020
    Har insaan apni zindagi mein kisi na kisi cheez ke baare mein junooni hota hai, chaahe who business ho, , arts, sports ya phir politics. Kayi baar ye sawaal poocha jaata hai ki kya apne junoon ke peeche jaakar ek safal zindagi jee sakte hain? Chanakya ka udaahran lete hain, jo raajneeti ki kalaa ko lekar bahut junooni thhe, aur apne junoon ko jeevan lakshya bana chuke thhe. Chanakya ne aanewaali kayi peedhiyon ke liye ek anokhi viraasat chhorhi, aur ye unke junoon ke wajah se hi thha. Kya aapmein bhi aisa koi junoon hai, jise aap apni zindagi banana chaahte hain? Suniye, aur apne junoon ke peeche jaane ke rahasya jaaniye.
    Show More Show Less
    37 mins
  • Aarthik Lakshya Aur Sampatti Banane Ke Chaar Charan

    Aarthik Lakshya Aur Sampatti Banane Ke Chaar Charan

    Yuvaaon ke Liye Chanakya, Adhyay Paanch
    Sep 1 2020
    Chanakya ne Arthashatra ki rachna ki, jismein Arth aur vyavsaay se jude aise raaz thhe jiski wajah se Bharat tab vishva mein ‘sone ki chidiya’ ke naam se jaana jaata thha. Aaj bhi hum in rahasyon aur is gyaan ka istemaal apne neeji jeevan mein apne financial goals ko haasil karne ke liye kar sakte hain. Arth ke chaar charanon ko samajhne, aur unpar mahaarat haasil karne ke liye aaj hi suniye ye episode.
    Show More Show Less
    39 mins
  • Parivaar- Neev Aur Sahara

    Parivaar- Neev Aur Sahara

    Yuvaaon ke Liye Chanakya, Adhyay Cheh
    Sep 1 2020
    Chanakya ne is baat par zor diya ki har samaaj ki neev mein parivaar hota hai. Parivaar who support system hota hai jo humein apni zindagi ki tamaam koshishon mein safal banaata hai. Kaam aur work-lofe balance ke chakkar mein parivaar hamaari aakhiri praathmikta nahin hona chahiye. Jab hamara career khatm ho jaata hai, toh parivaar hi hamaara antheen aur mazboot sahaara banta hai.
    Show More Show Less
    38 mins
  • Sehat - Sabse Badi Daulat

    Sehat - Sabse Badi Daulat

    Yuvaaon ke Liye Chanakya, Adhyay Saat
    Sep 1 2020
    Sehat waakayi sabse badi nemat hai. Koi bhi daulat kharaab sehat ki keemat par haasil nahin ki jaa sakti. Bina sehatmand shareer, man aur buddhi ke hum apni zindagi mein hamesha khoye huye hi rahenge. Shareer, mann, buddhi aur vichaaron se kaise swasth raha jaaye, Chanakya is Vishay par bhi hamara margdarshan karte hain. In simple techniques ke zariye na sirf aap apni zindagi sudhaar sakte hain, balki doosron ke liye bhi role model ban sakte hain. Apne job mein safal hona hai? Apne shareer aur mann se shuruaat keejiye. Ye episode sunkar jaanein, ki kaise sehat naam ki daulat apni banaayi jaa sakti hai.
    Show More Show Less
    39 mins
  • Takneek Ke Samay Mein Time Management

    Takneek Ke Samay Mein Time Management

    Yuvaaon ke Liye Chanakya, Adhyay Aath
    Sep 1 2020
    Takneek yaani technology ne humien tezi zarur di hai, lekin disha nahin di hai. Hamesha takneek ka istemaal karna theek usi tarah hai jaise aap ek aisi gaadi chala rahe hain jismein accelerator toh hai lekin steering wheel ya brakes nahin hai. Takneek ki is duniya mein Time management aasaan hona chahiye thha, lekin theek iske vipreet hamara tanaav badhaa hai. Hum Chanakya ki should have been easy in the technological era, but instead it is adding to our stress. Is episode ke zariye hum Chanakya ki takneek ka istemaal kar time management karna seekhenge, aur ye jaanenge ki humein time behtar tareeke se kaise manage kiya jaa sakta hai?
    Show More Show Less
    36 mins