• Episode 1

    Episode 1

    Jeevan Ek Ghorakh Dhanda Hai
    Dec 11 2019

    Episode 1-
    Shrinkhala ki iss pehli kadi mein Om Swami Dvaadash Nidaanon ka vivechan karte hue bataate hain ki, kaise hum apne jeevan ko sampoornata ke saath anandapoorvak ji sakte hain. Saath hi, humein iss kadi mein yeh bhi samajhane mein sahaayta dete hain ki bhayvesh ke kaaran, adhiktar manushya apne poorna jeevan ka satya praapt kare bina hi bita detein hai.

    Show More Show Less
    35 mins
  • Episode 2

    Episode 2

    Jeevan Ek Ghorakh Dhanda Hai
    Dec 11 2019

    Episode 2 -

    Iss doosri kadi mein Om Swami apne maulik shaili mein, hamaare saath jeevan roopi gorakh dhandhe se baahar aane ka rahasay saanjha karte hai. Yeh kadi mein hum samajh payenge ki, kaise dukh ko swayam par haavi na hone de aur prasannata ko apne dainik jeevan ka bhaag kaise banayein. Suniye aur seekhein prasann rehne ke moolmantra.

    Show More Show Less
    30 mins
  • Episode 3

    Episode 3

    Jeevan Ek Ghorakh Dhanda Hai
    Dec 11 2019

    Episode 3-

    Om Swami iss teesri kadi mein humein yeh batayenge ki kaise hum swayam ko nakaraatmak soch se mukt karein. Aisa kya karein ki humaara mann, maan aur apamaan ki bhavna se upar uth sake. Kaise hum sanskaaron ke maayajaal se mukt ho sakein. Suniye aur baniye ek acche insaan.

    Show More Show Less
    38 mins
  • Episode 4

    Episode 4

    Jeevan Ek Ghorakh Dhanda Hai
    Dec 11 2019

    Episode 4-

    Iss chauthi kadi mein Om Swami humein jeevan ki satyata ka anubhav karne mein sahaayta karte hain. Aisa kya hai jo hamaare mann ko uljha deta hai? Yeh mann kaise humein aadhyaatmik path par aage badhne se rok deta hai aur aisa hum kya kar sakte hain jisse yeh uljhan sulajh sake? Suniye aur jaaniye inn sab prashnno ka jawab.

    Show More Show Less
    30 mins
  • Episode 5

    Episode 5

    Jeevan Ek Ghorakh Dhanda Hai
    Dec 11 2019

    Episode 5-

    Iss kadi mein Om Swami ek mahatvapoorna prashna ka uttar dete hain, "kya hamaare jeevan mein jo bhi hota hai, vo sirf hamaare karmon ka hi parinaam hai, ya iski prushthabhoomi mein kuchh aur bhi hai? Kya humein dukh ki jo anubhooti hoti hai uske peechhe bhi koi aisa sukh hai jo humein agyaat hai?" Suniye aur jaaniye iss raaz ko.

    Show More Show Less
    38 mins
  • Episode 6

    Episode 6

    Jeevan Ek Ghorakh Dhanda Hai
    Dec 11 2019

    Episode 6-

    Iss kadi mein hum yeh samjheinge ki dukh se nikalne ki kya yukti hai? Om Swami humein aisi teen cheezein batate hain jo humein dukh se ubharne mein ya usse khatam karne mein sahaayata karengi. Kya hain ye kunjiyaan? Suniye aur jaaniye.

    Show More Show Less
    37 mins
  • Episode 7

    Episode 7

    Jeevan Ek Ghorakh Dhanda Hai
    Dec 11 2019

    Episode 7-

    Anugat kadi se aage chalte hue Om Swami iss kadi mein humein batayenge ki agar dukh ka aagaman humaare jeevan mein ho jaye to phir usse mukti ka kya upaay hai. Dukh ke gum se khushi ki aur kaise badhein, suniye aur jaaniye.

    Show More Show Less
    36 mins
  • Episode 8

    Episode 8

    Jeevan Ek Ghorakh Dhanda Hai
    Dec 11 2019

    Episode 8-

    Yeh kadi mein humein ek aise prashna ka uttar milega, jiski khoj mein hum sab adhiktar samay rehte hain: "Aadhyaatmik unnati ki parakaashtha kya hoti hai?" Kya sirf karuna ki bhavna ka mann mein hona aadhyaatmik pragati ka dhyotak hai, ya usse bhi mahatvapoorna kuchh aur hai? Aisa kya hai jo ek siddh ko agyaani vyakti se alag karati hai? Suniye aur jaaniye ek aisa raaz jo sirf yogiyon ko maalum hai.

    Show More Show Less
    35 mins