खुद की तलाश cover art

खुद की तलाश

Written by: Namita Dubey
Narrated by: Ritika Saini
  • Summary

  • Vibha aur Mansi me se Mansi badi thi aur shaadi jaldi nahi karna chahti thi jabki Vibha ne BA ke baad padhai chod di. Isliye jab unke pita ke dost ke bete Vibhor ka rishta Mansi ke liye aaya aur usne shaadi se inkaar kar diya, toh Vibha ki shaadi usse kar di gayi. Shuru mein Vibha bohot khush rehti thi aur Mansi ko thoda bura lagta aur vo irsha bhi karne lagi kyuki usko ab tak uske mann chaha nahi mila tha, jabki uski behen ko mil gaya tha. Vo sahitya mein ruchi rakhti thi aur lectureship karna chahti thi. Aakir usko ye mil gaya aur uska naam bhi failne laga. Saalon baad jab vo ghar lauti toh Vibha aur uske bacchon ko bhi waha dekha. Pata laga ki uski nanad ke apne pati se alag hokar waha rehne ki wajah se uske sasuraal mein tanaav pareshaaniyaan aur paison ki killat shuru ho gayi thi, isliye vo yaha thi. Tab Mansi usse lekar uske sasural pahunchi aur uski nanad Sheela se baat karne par jana ki vo bhi sahitya mein ruchi rakhti thi. Phir vo Sheela ko apne saath Bangaluru le gayi aur usse sahitya gatividhiyon mein sammilit hone ko protsahith kiya. Isse Vibha ke sasuraal mein bhi shanti hui aur Sheela ko bhhi zindagi mein kuch karne ka zariya mil gaya aur uski zindagi sanwar gayi.
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Show More Show Less

What listeners say about खुद की तलाश

Average Customer Ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.