Jab Shravan daftar se ghar aaya toh uski patni ka mood kharaab tha. Pata chala ki Shravan ki ma America se laut rahi thi aur ab unke saath hi rehne wali thi. Sharavn ne patni ko samjhaya ki pita ki mrityu ke baad uski ma kaafi akeli ho gayi thi. Unhe ab America aur India se aana-jaana padta tha. Usne sujhaav diya ki vah kuchh aisa kare ki ma ko ghar mein apnapan lage.