Crime Stories by Delhi Press, Season 2 cover art

Crime Stories by Delhi Press, Season 2

Written by: Delhi Press
Narrated by: Roshan Kumar
  • Summary

  • Audible prastut karta hai Crime Stories by Delhi Press ka sankalan. Akhbaar ki surkhiyon mein kayi apraadh ke qisse dil dehla dete hain. Aakhir sach kya hai, koi hadsa kaise hua, uske peechhe kiska haath tha, apraadhi bach kar kaise nikla? Ek ghatna ke peechhe kayi raaz hote hain, chhupi huyi kahaniyan hoti hain aur gupt kadiyan hoti hain. Har kirdaar ki alag maansikta hoti hai, jise samajhne ke liye unki duniya mein jaana padta hai. Hatya, balatkaar, chori, dhokhe ki kahaniyan samaaj ke ek aise pehlu par roshni daalti hain jise samajhna mushkil aur dilchasp bhi. Sansanikhez khabaron ke peechhe romanchak kahaniyan hain jo suljhaana kathin hai. Satya ki talaash mein tehkikaat karte kirdaar aapke saamne kayi sawaal layenge. Yeh kahaniyan aapko apraadh ke uss mod tak le jayengi jahan rahasya ke saath uljhan aur halchal bhi hai. Kya aap sach ki iss khoj mein shaamil hona chaahenge?
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Show More Show Less
Episodes
  • बाप का इश्क बेटी को ले डूबा
    May 12 2022
    Santosh autorickshaw chalaata tha. Uska ek beta tha aur ek beti thi Anjali. Ek din Anjali gayab ho gayi, vah sirf 5 saal ki thi. Police ne tehkikaat ki toh uski laash mili. Lekin aisa kaun kar sakta tha? Pata chala ki Anjali ki hatya uss aurat ne ki hai jo Santosh ke auto mein aksar jaati thi. Uska naam Anita tha aur use Santosh se prem ho gaya tha. Jab Santosh ne manaa kar diya toh usne bachchi ki hatya kar di.
    Show More Show Less
    16 mins
  • सेक्स को मना करने पर हिंसा करता था पति, पत्नी ने की हत्या
    May 12 2022
    Anandita Pal ne apne pati ki hatya kar di thi. Iske peechhe kya wajah thi aur kya raaz tha unki zindagi ka? Anandita ka pati use bohot tadpata tha aur maarta tha. Ek baar Anandita se aur nahin saha gaya aur usne khud ko bachaane ke liye apne pati ki hatya kar di. Ab iska Anandita ki aane wali zindagi par kya asar padega yeh toh bhavishya hi batayega.
    Show More Show Less
    4 mins
  • ऐसा भी होता है बौयफ्रैंड : प्रिया के साथ दीपक ने क्या किया
    May 12 2022
    Deepak ne Priya ko yeh vishwas dilaya tha ki vah usse prem karta hai aur Priya uski girlfriend banne ke liye raazi ho gayi thi. Vah 15 saal ki thi. Deepak use apni motorcycle par baitha kar sheher se door le gaya. Wahan usne apne doston ko bhi bula liya aur sab ne Priya ke saath shareerik sambandh ka mazaa liya. Kuchh dinon baad Priya apne mata-pita ke saath police station pohonchi aur ek complaint likhwa di. Uski iss haalat ka zimmedaar kaun tha?
    Show More Show Less
    12 mins

What listeners say about Crime Stories by Delhi Press, Season 2

Average Customer Ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.