Prime logo New to Audible Prime Member exclusive:
2 credits with free trial
1 credit a month to use on any title to download and keep
Listen to anything from the Plus Catalogue—thousands of Audible Originals, podcasts and audiobooks
Download titles to your library and listen offline
₹199 per month after 30-day trial. Cancel anytime.
Crime Stories by Delhi Press, Season 6 cover art

Crime Stories by Delhi Press, Season 6

Written by: Delhi Press
Narrated by: Hemnant Saini
Free with 30-day trial

₹199 per month after trial ends. Cancel anytime.

  • Summary

  • Audible prastut karta hai Crime Stories by Delhi Press ka sankalan. Akhbaar ki surkhiyon mein kayi apraadh ke qisse dil dehla dete hain. Aakhir sach kya hai, koi hadsa kaise hua, uske peechhe kiska haath tha, apraadhi bach kar kaise nikla? Ek ghatna ke peechhe kayi raaz hote hain, chhupi huyi kahaniyan hoti hain aur gupt kadiyan hoti hain. Har kirdaar ki alag maansikta hoti hai, jise samajhne ke liye unki duniya mein jaana padta hai. Hatya, balatkaar, chori, dhokhe ki kahaniyan samaaj ke ek aise pehlu par roshni daalti hain jise samajhna mushkil aur dilchasp bhi. Sansanikhez khabaron ke peechhe romanchak kahaniyan hain jo suljhaana kathin hai. Satya ki talaash mein tehkikaat karte kirdaar aapke saamne kayi sawaal layenge. Yeh kahaniyan aapko apraadh ke uss mod tak le jayengi jahan rahasya ke saath uljhan aur halchal bhi hai. Kya aap sach ki iss khoj mein shaamil hona chaahenge?
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Show More Show Less
Episodes
  • औलाद की चाह बनी मुसीबत की राह
    Jun 9 2022
    Raman ki shaadi ko kayi saal ho chuke the lekin koi santaan nahin thi. Uski patni Seema ne ek baba ke baare mein bataaya aur vah uske paas gaye. Baba ne Seema ko akele bulaaya aur santaan ke laalach mein Seema ne sab kuchh seh liya. Aakhir baba ka sach kya tha? Kya vah nirdosh mahilaon ko santaan ke sapne dikha kar unke saath shareerik sambandh banaata tha? Aise baba ki asliyat saamne laane ke liye kya koi awaaz uthaega?
    Show More Show Less
    5 mins
  • औरतों के साथ घिनौनी वारदात जारी
    Jun 9 2022
    Lekhak ka kehna hai ki desh mein ek taraf auraton ki pooja ki jaati hai aur doosri taraf unn par zulm hote hain. Har rajya mein aisa hota hai. Bihar ke Vaishali zile mein ek aurat aur uski beti ka balatkaar hua aur phir dono ke baal kaat kar unhe poore gaon mein ghumaaya gaya. Aakhir phir saari izzat ki zimmedaari auraton par hi kyun aati hai? Unhei iss desh mein aadmiyon ki pair ki jooti kyun samjha jaata hai?
    Show More Show Less
    8 mins
  • बाली उमर का प्यार
    Jun 9 2022
    Rachna aur Neeraj ek doosre se bachpan se pyar karte the. Dono school bhi saath jaate the aur ek doosre se saari baatein karte the. Iss wajah se Rachna apni padhai par dhyan nahin deti thi aur vah exam mein fail ho gayi. Iske baad uske pita ne uska school jaana rok diya aur uske liye rishta dhoondhne lage. Par shaadi se pehle hi vah ek din gayab ho gayi aur doosre din uski aur Neeraj ki laashein mili.
    Show More Show Less
    14 mins

What listeners say about Crime Stories by Delhi Press, Season 6

Average Customer Ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.