Anjuri Bhar ek aisi kitaab hai jisme Jeevan ke sabhi sopano ka samavesh hai. Iske sabhi patar apne dard, khushiyan aur apni alag-alag zindigiyon ki katha kahte hue paathak ko shuru se ant tak bandhe rakhte hain. Vaastav mein isme ghatit hone waali ghtnayen hamaari hi parchai se hame ru-b-ru krwaati hain. Yada-kada kahin-kahin lagta hai jaise hamaari jindagi ke hi unchipe panne pratayaksh ruup mein hamaari ankhon ke samne vicharan kar rahe hain aur hum bhi katha ke saath udti-girti, leharaati lehron ke samudr mein gote lagate huye saahil ki talaash mein kathanayika ke saath hindole le rahe hain.
©2015 Prem Gupta 'Mani'; (P)2019 Audible, Inc.