• Family Drama Stories by Delhi Press, Season 12

  • Written by: Delhi Press
  • Narrated by: Mahjabeen
  • Podcast
Family Drama Stories by Delhi Press, Season 12 cover art

Family Drama Stories by Delhi Press, Season 12

Written by: Delhi Press
Narrated by: Mahjabeen
  • Summary

  • Audible prastut karta hai Family Drama Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Paarivarik sambandh gehre hote hain lekin kaafi naazuk bhi hote hain. Kayi baar ek hi ghar mein rehte huye bhi parivaar ke sadasya ek doosre ko nahin samajh paate. Lagaav ke saath ek doosre ke prati dwesh, gussa aur kadvahat aane lagti hai jab samaajik mulya aur apni soch mein antar hota hai. Shaadi ke baad aksar rishton mein badlaav aane lagta hai aur mahilaon ko ek naye parivaar mein jagah banaane mein dikkat aati hai. Saas-sasur bahu ko kabhi beti ki tarah apna lete hain aur kabhi unko paraaya samajhte hain. Samvedansheel aur manoranjak drishti se paarivarik rishton ko prastut karti yeh kahaniyan ghar, samaaj aur badalte samay ki jhalak deti hain. Har ghar ki kahani vishesh hai, lekin har kahani mein aapko apne ghar ka koi sadasya, apne parivaar ki paristhityan bhi zaroor milengi!
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Show More Show Less
Episodes
  • किसना : जिस्म बेचकर बना दी बेटी की जिंदगी
    Jul 21 2022
    Jharkhand ke ek adivasi ilaake mein ek naye collector ne ek list banwaayi jismein unn logon ka naam tha jinhone adivasi ladkiyon ko rakha hua tha. Unn sabko majboor kar ke afsar ne unki adivasi ladkiyon ke saath shaadi karwa di. Lekin kuchh saal baad jab collector ka tabadla ho gaya toh sabne apni adivasi patniyon ko chhodna shuru kar diya. Iss tarah se ek awara auraton ka mohalla ban gaya. Ab unn auraton ka kya bhavishya tha, vah samaaj mein kaise rahengi?
    Show More Show Less
    16 mins
  • कायाकल्प...
    Jul 21 2022
    Sumitra apne pati Rajendra ka intezaar kar rahi thi. Use pata chala tha ki koi durghatna huyi hai aur use darr tha ki uske pati ko kuchh na ho gaya ho. Vah apni beti se lipat kar rone lagi. Tabhi uska pati aa gaya aur usne bataaya ki bade bete Sanjeev ki durghatna mein maut ho gayi thi. Poora parivaar uski yaadon mein kho gaya. Kuchh din pehle hi Sanjeev apni patni aur bachchi ke saath ek kiraaye ke makaan mein rehne gaya tha.
    Show More Show Less
    15 mins
  • जलन

    जलन

    Saras Salil
    Jul 21 2022
    Gaon mein jab koi aurat vidhwa ho jaati thi toh aisa maana jaata tha jaise uski zindagi hi khatm ho gayi ho. Rama ki umr 40 saal thi aur vah vidhwa ho gayi thi. Use bahu Sushma se kaafi jalan hoti kyunki use ek suhagan ke sab sukh prapt the. Sarpanch ke bete ko Rama pasand aa gayi thi aur ek din usne Rama ko pakad liya. Ab Rama khud ko bacha sakegi? Ya uske mann mein koi doosri yojna ban rahi hai?
    Show More Show Less
    6 mins

What listeners say about Family Drama Stories by Delhi Press, Season 12

Average Customer Ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.