Family Drama Stories by Delhi Press, Season 14 cover art

Family Drama Stories by Delhi Press, Season 14

Written by: Delhi Press
Narrated by: Kanupriya Rishimum, Kumud Soney
  • Summary

  • Audible prastut karta hai Family Drama Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Paarivarik sambandh gehre hote hain lekin kaafi naazuk bhi hote hain. Kayi baar ek hi ghar mein rehte huye bhi parivaar ke sadasya ek doosre ko nahin samajh paate. Lagaav ke saath ek doosre ke prati dwesh, gussa aur kadvahat aane lagti hai jab samaajik mulya aur apni soch mein antar hota hai. Shaadi ke baad aksar rishton mein badlaav aane lagta hai aur mahilaon ko ek naye parivaar mein jagah banaane mein dikkat aati hai. Saas-sasur bahu ko kabhi beti ki tarah apna lete hain aur kabhi unko paraaya samajhte hain. Samvedansheel aur manoranjak drishti se paarivarik rishton ko prastut karti yeh kahaniyan ghar, samaaj aur badalte samay ki jhalak deti hain. Har ghar ki kahani vishesh hai, lekin har kahani mein aapko apne ghar ka koi sadasya, apne parivaar ki paristhityan bhi zaroor milengi!
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Show More Show Less
Episodes
  • वे 3 दिन
    Aug 4 2022
    Navya ke mata-pita kuchh dinon ke liye Shimla gaye the aur use uski bua ke saath chhod gaye the. Iss baach Navya ke periods ho gaye aur usne jab apni bua ko yeh baat bataayi toh vah ghabra gayi. Usne Navya se kaha ki vah kitchen mein nahin jaa sakti aur khaane ki kisi cheez ko na chhuye. Use ek doosre kamre mein hi rehne ke liye keh diya. Navya pareshaan ho gayi, aakhir uski bua uske saath aisa vyavahar kyun kar rahi thi?
    Show More Show Less
    16 mins
  • वे सूखे पत्ते : सरोज की कहानी
    Aug 4 2022
    Saroj dikhne mein kaafi sundar thi. Lekin use bachpan mein ek chot lag gayi thi jiski wajah se vah lachak ke chalti thi. Uski chaal dekh kar sabko ajeeb lagta tha aur koi usse dosti nahin karna chaahta tha. Vah apni class mein pratham aayi aur ek ladka doosre number par aaya. Uss ladke ke saath uski dosti ho gayi. Lekin ladka nahin samajh paa raha tha ki Saroj ke aur koi dost kyun nahin the?
    Show More Show Less
    15 mins
  • शन्नो की हिम्मत : बाप और बेटी की अनोखी कहानी
    Aug 4 2022
    Shanno 10 saal ki thi aur uska pita uski ma ko bohot maarta tha. Shanno ko yeh baat bohot buri lagti thi aur usse apni ma ki yeh haalat nahin dekhi jaati thi. Ek din jab uske pita ne phir uski ma ko maarna shuru kiya toh vah police thane chali gayi aur wahan apne pita ke khilaaf report likhwaayi. Ek chhoti bachchi ka saahas dekh kar sab hairaan the. Kya vah apne parivaar mein badlaav laa sakegi?
    Show More Show Less
    12 mins

What listeners say about Family Drama Stories by Delhi Press, Season 14

Average Customer Ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.